SABAQ 32
Khabar Mauqoof aur Khabar Maqtoo
Khabar Mauqoof
Mauqoof waqf se hai jiska maana hai thehrna ya chup chap khade hona. istelah me agar sanad agar sanad sahabi tak jaakar khatam ho jaye aur yeh maana paya jaye ki isme jo kuch bayan hua hai woh qaul ya fail ya taqreer Sahabi ka hai to yeh khabar Mauqoof kaha jayega.
Khabar Maqtoo
Maqtoo Qatay se hai, jiske maane hai katna ya alag karna. Istelah me Sanad agar Tabaee ya Tabe-Tabaee ya iske niche tak hi ruk gayi aur yeh mana paaya jaye ki isme jo kuch manqul hai woh qaul ya fel ya taqreer neeche ke rawi ki hai (Yani Nabi ﷺ ki ya Sahabi ki nahi hai) to ise Maqtoo kaha jayega.
Maqtoo aur Munqatay me Farq
Yaha Maqtoo aur Munqatay ka Farq sabit ho gaya ki Muqatay Me Agarche Sanad neeche ruk jati hai Lekin uska matan Nabi ﷺ se Mansoob hota hai. Jabki Maqtoo me Matan bhi neeche ke rawi ka Qaul ya Fel ya Taqreer hoga.
Asar
Istelah me Mauqoof aur Maqtoo ko asar kaha jata hai.
Musnad
Jo Sanad Sahabi tak Marfooan Pahoch jaye yani Puri Sanad me Ittisal ho ya bazahir Ittisal اتصال ho (Yani tehqeeq me inteqa hone ki gunzaish ho) Woh Musanad hogi.
Sahaba ki Riwayato ko ek ek Sahabi ke naam se alag karke ek jagah par jama kar dena is tarteeb ko bhi Musnad kehte hai. Iske Alawa Tabaee ya Tabe Tabaee tak Pahuchi hui Riwayat ko Musnad nahi kaha jayega.
No comments:
Post a Comment