Friday, 4 August 2017

SABAQ 19 Mauzu موضوع ki Tareef

SABAQ 19

MAUZU  موضوع 

Tareef/Defination

Mauzu Waza وضع se makhuz hai. Jiske Maane Phekna ya girana hota hai. Iske Istelahi maane kisi par galat Mansub Karna hai jo usne nahi kaha ho. Jo baat Nabi صلى الله عليه وسلم se kabhi na sabit hui ho usko koi rawi Aap صلى الله عليه وسلم ka naam lekar Hadees bataye to aisi Riwayat Mauzu yani Ghari hui Kaha jayega. 

Aur yeh Kaam Sirf Kazzab Rawi karte hai. Amuman jis Sanad me koi Rawi Kazzab sabit ho jaye us sanad ko Mauzu kaha jata hai. Lekin Rawi ke Jutha hone se Mauzu ka hukm Qatayi taur par nahi lagta Kyunki Kabhi kabhi jutha sakhs bhi Sach bol Deta hai. Lekin Hadees ki Maarifat Rakhne wale aisi Surat me Fauran Gair Mauzu Hadees ko Mauzu se Mumtaz kar lete hai.

Waza ka hukm lagana us shakhs ka kaam hai jiski Malumaat wasee ho, Ziska zehan achcha ho, Fahem Qawi ho, Qaraain Waza Pehchan ne par isko kamil Qudarat hasil ho. 

Jis Riwayat ka Mauzu hona sabit ho jaye Us par Hadees (Nabi صلى الله عليه وسلم) hone ka yaqeen banana haram hai.

No comments:

SABAQ 39 AHWAL-e-RAWI

SABAQ 39  AHWAL-e-RAWI Rawiyo ke Haalat, yani woh aadil hai ya Majrooh hai ya Majhool hai? jab tak iska ilm na hoga tab tak Hadees...