SABAQ 13
Mursal مرسل Hadees ki Tareef
Mursal ka lugavi mana hai Chooda hua. iski jama hai Maraseel مراسیل. Istelah me jab koi sanad Tabaee tak pahunche aur Tabaee kisi Sahabi ka naam liye bagair Hadees me Direct Nabi صلى الله عليه وسلم ka Qaul ya Fayel bayan kar de. to yeh Hadees Mursal kehlayegi.
Yaha Tabaee ne yakeenan apne upar rawi ka naam hazaf kar liya. Kyunki Rasoolallah صلى الله عليه وسلم se khud tabaee ki mulaqat to muhal hai. Mulaqat hoti to woh khud sahabi hote. Ab jiska naam chupaya, Ehtemal hai wo shakhs Sahabi bhi ho sakta hai ya koi Dusra Tabaee bhi ho sakta hai jisse isne suna hoga. Agar woh Tabaee tha to ab us Mahzuf (Gayab rawi/Hazaf kiya hua) rawi ne jis se suna woh Sahabi tha ya koi Teesra Tabaee ho. Aqalan yeh silsila badhta jayega.
Mursal Ka Hukm
- Imam Malik رحمةاللہ عليه ke nazdeek ek qaul Ahle Kufa ke mutabiq hai yani Mursal Mutalaqan Maqbul hogi.
- Imam Shafaiee رحمةاللہ عليه ke Nazdeek agar us Hadees jaisi koi Dusri Musanad (Sahabi ki Riwayat) mil jaye to yeh Mursal uski taeed par Qabul ho jayegi
- Hanfi Mazhab me agar Rawi Siqah wa Gair siqah dono se Irsaal karta hai (yani Jiska naam Chupaya woh Siqah bhi ho sakta hai aur gair siqah bhi) to aise rawi ki Mursal Riwayat Mardood hai. Aur Agar rawi aisa ho jo Hamesha siqah se Riwayat karta hai to uski Riwayat qabool hogi. Jaise Saeed Bin Musayyib رحمةاللہ عليه ki
No comments:
Post a Comment