SABAQ 12
Khabar Mardood ke Iqsam
Khabar Mardood do Wajah se hoti hai
- Sanad me ek ya ek se jyada rawi saqit hon.
- Sanad ke kisi Rawi ki Dayanat ya Zabt par Ta'an kiya gaya ho.
Rawi ke suqoot ke aitbar se khabar mardood ki 4 Qism hai
- Moallaq معلق
- Mursal مرسل
- Ma'zal معضل
- Munqatay منقطع
1) Moallaq معلق ki tareef
Musannaf ne khud us rawi se riwayat nahi suni jiska naam lekar wo sanad ko shuru kar raha hai. yani ibteda me hi 1 ya us se jyada rawi saqit ho* use Moallaq kehte hai.
Moallaq ki Kisme
Musannif Puri sanad ko chodkar yun bayan kare قل رسول الله صلى الله عليه وسلم yeh bhi Moallaq hogi. Ya kabhi isi tarah Musannif Direct Sahabi ya Tabaee ka naam lekar usse uper sanad bayan kar ke hadees bayan kar deta hai.
Moallaq ka Hukm
Khabar mardood hongi kyunki jitne rawi saqit hai, Woh Majhoolul haal hai, unke baare me koi tehqeeq nahi ho sakti. lehaza Moallaq riwayat Zaeef hogi (jab tak uski Taeed kahin aur se na ho sake)
NOTE
Riwayat me jitna sakht aib ho sanad me ya matan me agar uski taeed sahih sanad wa Mahfooz matan se ho jati hai to woh qabool ho jayegi.
*Saqit ho- Sanad tuti hui hai
No comments:
Post a Comment